Mere paas Facebook hai… (Tere paas kyaa hai?)


Maein pahle bahut pareshaan thaa. Padhaaii pe Mann hii nahin lagtaa thaa. Book naam se hii chid raha thaa. Exam paper dekh ke ultii aatii thii. Jaese taese pass ho jaa taa thaa. Samajh mein nahiin aa raha thaa questions waese kyuun puuchhe jaate the!
Lekin ab maein bahut hii khuush huun. Ab mere paas Facebook hai.
Iss book se mujhe chid nahin aatii hai. Mujhe pressurise bhii koii nahin kartaa hai isse padhne ko. Yah koii text book nahiin hai sirf; photos, videos ke saath yah fully interlinked aur interactive hai.
Apne Facebook kaa maein hiin author huun. Yahaan pe kaiin readers kaa feedback o contribution bhii miltaa hai.
Bahut saare listed friends n followers bhii hain. Mujhe proof dikhaane kii zaruurat nahiin padtii hai. Koii peer pressure nahiin hai. Bahut kuchh yahaan pe share hotaa hai. Bhaavnaa ko hum sab mil baant ke nichod tod ke bhog te hain. Yah koii crime nahin hai, koii warrant bhii nahiin nikal taa.
Koi exam nahiin, list of results nahin nikaltaa top aur bottom kaa. Pass ya Fail, kiskaa kitnaa ranking kuchh bhii yahaan pe comparison nahiin dikhaayaa jaataa hai. Isiliye inferiority yaa superiority complex kaa danger hii nahiin hai. Discrimination kaa chance hii nahiin hai!
No doubt, sab yahaan pe khuush dikhte hain.
Yahaan pe jailbreak kii zaruurat bhii nahin padtii hai.
Aap yahaan pe Admin role bhii nibhaate hain.
All round exposure yahaan pe miltaa hai. Recession kaa bhii yahaan pe zor nahin chal taa hai.
Aap yahaan pe hii Boss ho. Supervisor ho.
Mann chaahe aap yahaan pe break aur chhuttii le sakte ho.
Koii tokegaa bhii nahiin.
Aap yahaan pe ek censor board bhii chalaa sakte ho.

Iss book kii membership renewal bhii nahiin karnii padtii hai.
Apne aap updates aate rahte hai. Book kaa latest version sab ko accessible rahtaa hai. Fees bhii denaa nahiin padtaa hai. Customisation bhii free hai.

Class room ke attendance kaa chakkar bhii yahaan pe nahiin hai.

Ab meraa memory power bhii badh gaya hai virtually. Itne saare memory aids jo hain!
Search se le kar auto flash kaa feature yahaan pe hai.
Sab kuchh yaad rakhne kii bhii zaruurat nahin padtii hai.
Birth Days, events flash hote rahte hain.
Yahaan pe open culture hai.
Piith piichhe bolne kaa culture yahaan pe lagh bhag nahiin chaltaa.
Isiliye aap ko pataa chal jaataa hai, koii aap ko mention kiyaa to.

Sunaa hai, ab bhaag kar shaadii nahiin karnii padtii hai, naa kii registrar ke paas jaanaa padtaa hai. Bas yahaan pe status o profile update kar dijiye, kaahfii hai.

Haan maein apne dimaag pe itnaa zor bhii nahiin daaltaa huun. Meraa old servant-cum-friend google bhii merii sevaa mein humeshaa tatpar rahtaa hai.

Aare haan, google+ bhii hai. Yah toh memory+ vita kaa kaam kartaa hai. Gol gol! Iskaa upyog kabhii kabhii kar letaa huun.

Ab maein bahut khuush huun.

~ Prabeen Kumar Pati