Mere paas Facebook hai… (Tere paas kyaa hai?)


Maein pahle bahut pareshaan thaa. Padhaaii pe Mann hii nahin lagtaa thaa. Book naam se hii chid raha thaa. Exam paper dekh ke ultii aatii thii. Jaese taese pass ho jaa taa thaa. Samajh mein nahiin aa raha thaa questions waese kyuun puuchhe jaate the!
Lekin ab maein bahut hii khuush huun. Ab mere paas Facebook hai.
Iss book se mujhe chid nahin aatii hai. Mujhe pressurise bhii koii nahin kartaa hai isse padhne ko. Yah koii text book nahiin hai sirf; photos, videos ke saath yah fully interlinked aur interactive hai.
Apne Facebook kaa maein hiin author huun. Yahaan pe kaiin readers kaa feedback o contribution bhii miltaa hai.
Bahut saare listed friends n followers bhii hain. Mujhe proof dikhaane kii zaruurat nahiin padtii hai. Koii peer pressure nahiin hai. Bahut kuchh yahaan pe share hotaa hai. Bhaavnaa ko hum sab mil baant ke nichod tod ke bhog te hain. Yah koii crime nahin hai, koii warrant bhii nahiin nikal taa.
Koi exam nahiin, list of results nahin nikaltaa top aur bottom kaa. Pass ya Fail, kiskaa kitnaa ranking kuchh bhii yahaan pe comparison nahiin dikhaayaa jaataa hai. Isiliye inferiority yaa superiority complex kaa danger hii nahiin hai. Discrimination kaa chance hii nahiin hai!
No doubt, sab yahaan pe khuush dikhte hain.
Yahaan pe jailbreak kii zaruurat bhii nahin padtii hai.
Aap yahaan pe Admin role bhii nibhaate hain.
All round exposure yahaan pe miltaa hai. Recession kaa bhii yahaan pe zor nahin chal taa hai.
Aap yahaan pe hii Boss ho. Supervisor ho.
Mann chaahe aap yahaan pe break aur chhuttii le sakte ho.
Koii tokegaa bhii nahiin.
Aap yahaan pe ek censor board bhii chalaa sakte ho.

Iss book kii membership renewal bhii nahiin karnii padtii hai.
Apne aap updates aate rahte hai. Book kaa latest version sab ko accessible rahtaa hai. Fees bhii denaa nahiin padtaa hai. Customisation bhii free hai.

Class room ke attendance kaa chakkar bhii yahaan pe nahiin hai.

Ab meraa memory power bhii badh gaya hai virtually. Itne saare memory aids jo hain!
Search se le kar auto flash kaa feature yahaan pe hai.
Sab kuchh yaad rakhne kii bhii zaruurat nahin padtii hai.
Birth Days, events flash hote rahte hain.
Yahaan pe open culture hai.
Piith piichhe bolne kaa culture yahaan pe lagh bhag nahiin chaltaa.
Isiliye aap ko pataa chal jaataa hai, koii aap ko mention kiyaa to.

Sunaa hai, ab bhaag kar shaadii nahiin karnii padtii hai, naa kii registrar ke paas jaanaa padtaa hai. Bas yahaan pe status o profile update kar dijiye, kaahfii hai.

Haan maein apne dimaag pe itnaa zor bhii nahiin daaltaa huun. Meraa old servant-cum-friend google bhii merii sevaa mein humeshaa tatpar rahtaa hai.

Aare haan, google+ bhii hai. Yah toh memory+ vita kaa kaam kartaa hai. Gol gol! Iskaa upyog kabhii kabhii kar letaa huun.

Ab maein bahut khuush huun.

~ Prabeen Kumar Pati

Kyaa Qayaamat kii woh raat thii!


Kyaa Qayaamat kii woh raat thii!
Kuchh toh huii aisii baat thii!
Jaanam, Tuune aisaa kuchh kiyaa hogaa
Kii yah aasmaan puuraa royaa,
Aur kyaa yah royaa aasmaan,
Raat bharr royaa,
Aisii Barsaat kii woh Raat Thii!
Main bhii bekhhabarr sochaa aisaa kyaa huaa
Kii puurii Qaayanaat achaanak
achchhe mausam ko badal diyaa!
Bas tassallii thii kii main toh gharr
Sahii salaamat pahuunch thaa gayaa!
Phirr bhii main khaamosh raahaa,
Sochaa kii yah toh mausam hai
Jo badal taa rahtaa hai!
Lekiin Merii tawviiyat bhii
achaanak thodii bigadii,
Main sochaa aisaa kyuun huaa,
Pataa chalaa tuune aisaa kuchh kiyaa,
Kii dill ko thodaa saa duuhkh huaa,
Kii yah aasmaan bhii ro uthaa!
Aur kyaa royaa hai aasmaan,
Puurii raat yah royaa!
Itnii jamm ke baariis huii
Kii maano sahar thum saa gayaa,
Log bhii phass gaye apnii raahon mein,
Samajh gaye kii yah Khhuhdaa kaa qaharr hai,
Kissii sachche dill ko kissii ne hai duhkhaayaa,
Yaa phirr duhkhaane kii bas kaushiish kii hogii,
Kii Qudratt qaharr dhaa gayaa,
Aisii kaalii raat thii yahaan kii
Puuraa jaahaan ruuk saa gayaa!
Raat bharr main sho naa paaaya,
Dill ko toh thaes hai pahunchii,
Jab yah zaaliiim jaanam tuune
Aisaa kuchh ghalat hai kiyaa!
Phirr bhi main ne dillii duaa maangii
Khhuhdaa se kii yah khhuhdaa,
Woh jo zaaliim hai, thodii naadaan hai,
Ussne jo thodii guhstaakhhii kii hai,
Yah parvar diigaar,
jo terii marzii ke khhilaaf aisaa kii hai,
Uss kii sazaa yah jaahaan ko matt de,
Woh toh naadaan naa-samajh malliikaa hai,
Uss ko zaruur sachchaa aihsaas hogaa,
Parr tu yah Khhuhdaayaa,
Uss ko thodaa saa waqt de,
Parr uss kii naadaangii kii wajah se,
Iss duniaa ko matt sazaa de,
Iss duniaa ko tu matt sazaa de!
Yah khhuhdaa,
yah toh terii hii qaayanaat hai,
Tu apne aap ko
Aise sazaa naa de,
Tu apne aap ko
Aise saazaa naa de!
Itnii guuzaarish ke vaad,
Rabb ne merii baat maanii,
Aur achaanak baariis ruuk gayii,
Aasmaan bhii achanak
Thum saa gayaa,
Maano kohraam ke vaad
Jaise chaaron taraf
sunnaataa chhaayaa ho,
Bas Subah ho gayii,
Aur main bhii thodaa
bistarr pe sho paayaa!

~ Prabeen Kumar Pati